om jay yamuna mata,
hari om jay yamuna mata
jo nahave phal pave
sukh duhkh ki data
om jay yamuna mata...
pavan shriyamuna jal
shital agam bahai dhara
jo jan sharan men aya
kar diya nistara
om jay yamuna mata...
jo jan pratah hi uthakar
nitya snan kare
yam ke tras na pave
jo nitya dhyan kare
om jay yamuna mata...
kalikal men mahima
tumhari atal rahi
tumhara bada mahatam
charon ved kahi
om jay yamuna mata...
an tumhare mata
prabhu avatar liyo
nitya nirmal jal pikar
kans ko mar diyo
om jay yamuna mata...
namo mat bhay harani
shubh mangal karani
man bechain bhaya hai
tum bin vaitarani
om jay yamuna mata...
om jay yamuna mata,
hari om jay yamuna mata
jo nahave phal pave
sukh duhkh ki data
om jay yamuna mata...



