jayati jay gayatri mata,
jayati jay gayatri mata
sat marag par hamen chalao,
jo hai sukhadata
jayati jay gayatri mata...
adi shakti tum alakh niranjan
jag palan kartri
duhkh, shok, bhay, klesh,
kalah daridray dainya hartri
jayati jay gayatri mata...
brahma rupini, pranat palini,
jagatadhatri ambe
bhavabhayahari, janahitakari,
sukhada jagadambe
jayati jay gayatri mata...
bhayaharini bhavatarini anaghe,
aj anand rashi
avikari, aghahari, avichalit,
amale, avinashi
jayati jay gayatri mata...
kamadhenu sat chit ananda,
jay ganga gita
savita ki shashvati shakti,
tum savitri sita
jayati jay gayatri mata...
rig, yaju, sam, atharva,
pranayini, pranav mahamahime
kundalini sahasrar,
sushumna, shobha gun garime
jayati jay gayatri mata...
swaha, swadha, shachi,
brahani, radha, rudrani
jay satarupa, vani, vidya,
kamala, kalyani
jayati jay gayatri mata...
janani ham hai, din, hin,
duhkh, daridra ke ghere
yadapi kutil, kapati kaput,
tau balak hai tere
jayati jay gayatri mata...
snehasani karunamayi mata,
charan sharan dijai
bilakh rahe ham shishu sut tere,
daya drishti kijai
jayati jay gayatri mata...
kam, krodh, mad, lobh,
dambh, durbhav, dvesh hariye
shuddh buddhi, nishpap hriday,
man ko pavitra kariye
jayati jay gayatri mata...
tum samarth sab bhanti tarini,
tushti, pushti trata
sat marg par hamen chalao,
jo hai sukhadata
jayati jay gayatri mata...
arati shri gayatriji ki
gyanadip aur shraddha ki bati
so bhakti hi purti karai jaham ghi ki
arati shri gayatriji ki
manas ki shuchi thal ke upar
devi ki jyot jagai, jaham niki
arati shri gayatriji ki
shuddh manorath te jahan ghanta
bajain karai asuh hi ki
arati shri gayatriji ki
jake samaksh hamen tihun lok kai
gaddi milai sabahun lagai phiki
arati shri gayatriji ki
sankat avain na pas kabau tinhen
sampada aur sukh ki banai liki
arati shri gayatriji ki
arati prem sau nem so kari
dhyavahin murati brahma lali ki
arati shri gayatriji ki



