arati shri gaiyya mainyya ki,
arati harani vishva dhaiyya ki
arati shri gaiyya mainyya ki...
arthakam saddharm pradayini,
avichal amal muktipaddayini
sur manav saubhagya vidhayini,
pyari pujya nand chhaiyya ki
arati shri gaiyya mainyya ki...
akhil vishva pratipalini mata,
madhur amiy dugdhann pradata
rog shok sankat paritrata,
bhavasagar hit dridh naiyya ki
arati shri gaiyya mainyya ki...
ayu oj arogya vikashini,
duhkh dainya daridray vinashini
sushma saukhya samriddhi prakashini,
vimal vivek buddhi daiyya ki
arati shri gaiyya mainyya ki...
sevak ho chahe dukhadai,
sam pay sudha piyavati mai
shatru-mitra sabako sukhadayi,
sneh swabhav vishva jaiyya ki
arati shri gaiyya mainyya ki...
arati shri gaiyya mainyya ki,
arati harani vishva dhaiyya ki
arati shri gaiyya mainyya ki...



