doha
vinay karaun kar jodkar,
man vachan karm sambhari
mor manorath purn kar,
vishvakarma dushtari
chaupai
vishvakarma tav nam anupa
pavan sukhad manan anarupa
sundar suyash bhuvan dashachari
nit prati gavat gun naranari
sharad shesh mahesh bhavani
kavi kovid gun grahak gyani
agam nigam puran mahana
gunatit gunavant sayana
jag mahan je paramarath vadi
dharm dhurandhar shubh sanakadi
nit nit gun yash gavat tere
dhanya-dhanya vishvakarma mere
adi srishti mahan tu avinashi
moksh dham taji ayo supasi
jag mahan pratham lik shubh jaki
bhuvan chari dash kirti kala ki
brahmachari aditya bhayo jab
ved parangat rishi bhayo tab
darshan shastra aru vigy purana
kirti kala itihas sujana
tum adi vishvakarma kahalayo
chaudah vidha bhu par phailayo
loh kashth aru tamra suvarna
shila shilp jo panchak varna
de shiksha dukh daridra nashyo
sukh samriddhi jagamahan parakashyo
sanakadik rishi shishya tumhare
brahmadik jai munish pukare
jagat guru is hetu bhaye tum
tam-agyan-samuh hane tum
divya alaukik gun jake var
vighn vinashan bhay taran kar
srishti karan hit nam tumhara
brahma vishvakarma bhay dhara
vishnu alaukik jagarakshak sam
shivakalyanadayak ati anupam
namo namo vishvakarma deva
sevat sulabh manorath deva
dev danuj kinnar gandharva
pranavat yugal charan par sarva
avichal bhakti hriday bas jake
char padarath karatal jake
sevat tohi bhuvan dash chari
pavan charan bhavobhav kari
vishvakarma devan kar deva
sevat sulabh alaukik meva
laukik kirti kala bhandara
data tribhuvan yash vistara
bhuvan putra vishvakarma tanudhari
ved atharvan tatva manan kari
atharvaved aru shilp shastra ka
dhanurved sab kritya apaka
jab jab vipati badi devan par
kasht hanyo prabhu kala sevan kar
vishnu chakra aru brahma kamandal
rudra shul sab rachyo bhumandal
indra dhanush aru dhanush pinaka
pushpak yan alaukik chaka
vayuyan may udna khatole
vidhut kala tantra sab khole
surya chandra navagrah digpala
lok lokantar vyom patala
agni vayu kshiti jal akasha
avishkar sakal parakasha
manu may tvashta shilpi mahana
devagam muni panth sujana
lok kashth, shil tamra sukarma
swarnakar may panchak dharma
shiv dadhichi harishchandra bhuara
krit yug shiksha paleu sara
parashuram, nal, nil, sucheta
ravan, ram shishya sab treta
dhvapar dronacharya hulasa
vishvakarma kul kinh prakasha
mayakrit shilp yudhishthir payeu
vishvakarma charanan chit dhyayeu
nana vidhi tilasmi kari lekha
vikram putali drishya alekha
varnatit akath gun sara
namo namo bhay taran hara
doha
divya jyoti divyansh prabhu,
divya gyan prakash
divya drishti tihun,
kalamahan vishvakarma prabhas
vinay karo kari jori,
yug pavan suyash tumhar
dhari hiy bhavat rahe,
hoy kripa udgar
chhand
je nar saprem virag shraddha,
sahit padhihahi suni hai
vishvas kari chalisa chopai,
manan kari guni hai
bhav phand vighnon se use,
prabhu vishvakarma dur kar
moksh sukh denge avashya hi,
kasht vipada chur kar

