doha
mas vaishakh kritika yut,
haran mahi ko bhar
shukl chaturdashi som din,
liyo narasinh avatar
dhanya tumharo sinh tanu,
dhanya tumharo nam
tumare sumaran se prabhu,
puran ho sab kam
chaupai
narasinh dev main sumaron tohi
dhan bal vidya dan de mohi
jay jay narasinh kripala
karo sada bhaktan pratipala
vishnu ke avatar dayala
mahakal kalan ko kala
nam anek tumharo bakhano
alp buddhi main na kachhu janon
hiranakush nrip ati abhimani
tehi ke bhar mahi akulani
hiranakush kayadhu ke jaye
nam bhakt prahalad kahaye
bhakt bana bishnu ko dasa
pita kiyo maran parasaya
astra-shastra mare bhuj danda
agnidah kiyo prachanda
bhakt hetu tum liyo avatara
dusht-dalan haran mahibhara
tum bhaktan ke bhakt tumhare
prahlad ke pran piyare
pragat bhaye phadkar tum khambha
dekh dusht-dal bhaye achambha
khadg jihva tanu sundar saja
urdhva kesh mahadashtra viraja
tapt swarn sam badan tumhara
ko varane tumharon vistara
rup chaturbhuj badan vishala
nakh jihva hai ati vikarala
swarn mukut badan ati bhari
kanan kundal ki chhavi nyari
bhakt prahalad ko tumane ubara
hirana kush khal kshan mah mara
brahma, bishnu tumhe nit dhyave
indra mahesh sada man lave
ved puran tumharo yash gave
shesh sharada paran pave
jo nar dharo tumharo dhyana
tako hoy sada kalyana
trahi-trahi prabhu duhkh nivaro
bhav bandhan prabhu ap hi taro
nitya jape jo nam tihara
duhkh vyadhi ho nistara
santan-hin jo jap karaye
man ichchhit so nar sut pave
bandhya nari susantan ko pave
nar daridra dhani hoi jave
jo narasinh ka jap karave
tahi vipatti sapanen nahi ave
jo kamana kare man mahi
sab nishchay so siddh huyi jahi
jivan main jo kachhu sankat hoyi
nishchay narasinh sumare soyi
rog grasit jo dhyave koi
taki kaya kanchan hoi
dakini-shakini pret betala
grah-vyadhi aru yam vikarala
pret pishach sabe bhay khaye
yam ke dut nikat nahin ave
sumar nam vyadhi sab bhage
rog-shok kabahun nahi lage
jako najar dosh ho bhai
so narasinh chalisa gai
hate najar hove kalyana
bachan satya sakhi bhagavana
jo nar dhyan tumharo lave
so nar man vanchhit phal pave
banavaye jo mandir gyani
ho jave vah nar jag mani
nit-prati path kare ik bara
so nar rahe tumhara pyara
narasinh chalisa jo jan gave
duhkh daridra take nikat na ave
chalisa jo nar padhe-padhave
so nar jag men sab kuchh pave
yah shri narasinh chalisa
padhe rank hove avanisa
jo dhyave so nar sukh pave
tohi vimukh bahu duhkh uthave
shiv swarup hai sharan tumhari
haro nath sab vipatti hamari
doha
charon yug gayen teri,
mahima aparampar
nij bhaktanu ke pran hit,
liyo jagat avatar
narasinh chalisa jo padhe,
prem magan shat bar
us ghar anand rahe,
vaibhav badhe apar


