# Barsane Ki Holi Lyrics

> Barsane Ki Holi lyrics for Radha Krishna, beginning “Phaag Khelan Barsane Aaye Hain”. Read the full text in your own language.

Source: https://www.hinducalendar.today/lyrics/festivals/holi/barsane-ki-holi

115%

[Share](https://wa.me/?text=Barsane%20Ki%20Holi%0A%0Ahttps%3A%2F%2Fwww.hinducalendar.today%2Flyrics%2Ffestivals%2Fholi%2Fbarsane-ki-holi)

ॐ

1

Phaag Khelan Barsane Aaye Hain,

Natwar Nandakishor.

Gher Layin Sab Gali Rangeeli,

Chhay Rahi Chhabi Chhata Rangeeli.

Jin Dhap-Dhol Mridang Bajaye Hain,

Banshi Ki Ghanghor.||

2

Jur-Mili Kain Sab Sakhiyaan Aayin,

Umadi Ghata Ambar Mein Chhaayi.

Jin Abeer-Gulaal Udaye Hain,

Maarat Bhari-Bhari Jhor.

Phaag Khelan Barsane...||

3

Lai Rahe Chot Gwaal Dhaalan Pai,

Kesar-Keech Malen Gaalan Pai.

Jin Hariyal Baans Mangaye Hain,

Chalan Lage Chahun Or.

Phaag Khelan Barsane...||

4

Bhayi Abeer Ghor Andhiyaari,

Deekhat Naahin Nar Aru Naari.

Jin Radhe Sain Chalaye Hain,

Pakare Maakhan Chor.

Phaag Khelan Barsane...||

5

Jo Laala Ghar Jaanau Chaahau,

To Hori Kau Phagua Laa-au.

Jin Shyam Ne Sakha Bulaye Hain,

Baantat Bhari-Bhari Jhor.

Phaag Khelan Barsane...||

6

Radhey Joo Ke Haa-Haa Kha-au,

Sab Sakhiyan Ke Ghar Pahuncha-au.

Jin 'Ghasiram' Katha Gaaye Hain,

Bhayau Kavita Kau Chhor.

Phaag Khelan Barsane...||

7

Phaag Khelan Barsane Aaye Hain,

Natwar Nandakishor.||
